zindagi to qaid hai aur parda-e-mahfil mein hai
zindagī to qaid hai aur parda-e-mahfil meñ hai
aarzū husn-e-zamīñ keī gosha-e-ġhāfil meñ hai
DhūñDhtā hai tū jise vo justujū merī bhī hai
maqsad-e-ahl-e-nazar to ek hī manzil meñ hai
bandish-e-kaun-o-makāñ parvāz meñ haa.il nahīñ
hāsil-e-jahd-o-amal to jazba-e-kāmil meñ hai
zulm kī tārīkiyoñ ko jumbish-e-lab sail-e-nūr
bol ki hai vaqt terā jo bhī tere dil meñ hai
jāñ-fishānī os keī aur miTTī keī talab
kyā bujhegī pyaas lekin kuchh namī to dil meñ hai
zindagi to qaid hai aur parda-e-mahfil mein hai
aarzu husn-e-zamin kei gosha-e-ghafil mein hai
DhunDhta hai tu jise wo justuju meri bhi hai
maqsad-e-ahl-e-nazar to ek hi manzil mein hai
bandish-e-kaun-o-makan parwaz mein hail nahin
hasil-e-jahd-o-amal to jazba-e-kaamil mein hai
zulm ki tarikiyon ko jumbish-e-lab sail-e-nur
bol ki hai waqt tera jo bhi tere dil mein hai
jaan-fishani os kei aur miTTi kei talab
kya bujhegi pyas lekin kuchh nami to dil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.