zindagi tujhko tere jine ki aadat kha gai
zindagī tujh ko tire jiine kī aadat khā ga.ī
dhuup is bastī kī ye ūñchī imārat khā ga.ī
vaz.a-dārī aur ravā-dārī ke vo jalve kahāñ
zehn-o-dil kī kaj-ravī husn-e-sharāfat khā ga.ī
aap ke alfāz yā bhaḌke hue sho.ale haiñ ye
rishta-e-iḳhlās ko un kī tamāzat khā ga.ī
dekhiye zehnī kudūrat aur ḳhabāsat kā mazāq
ik ibādat-gāh ye gandī siyāsat khā ga.ī
kho ga.iiñ sher-o-suḳhan husn-e-bayāñ kī lazzateñ
saarā husn-e-shā.irī sikkoñ kī chāhat khā ga.ī
dā.ere hirs-o-havas ke jis qadar baḌhte ga.e
ḳhud-farāmoshī baḌhī husn-e-qanā.at khā ga.ī
kitnī hī labrez ho husn-e-ma.ānī se 'tarab'
un ke andāz-e-taḳhātub ko tavālat khā ga.ī
zindagi tujh ko tere jine ki aadat kha gai
dhup is basti ki ye unchi imarat kha gai
waza-dari aur rawa-dari ke wo jalwe kahan
zehn-o-dil ki kaj-rawi husn-e-sharafat kha gai
aap ke alfaz ya bhaDke hue shoale hain ye
rishta-e-iKHlas ko un ki tamazat kha gai
dekhiye zehni kudurat aur KHabasat ka mazaq
ek ibaadat-gah ye gandi siyasat kha gai
kho gain sher-o-suKHan husn-e-bayan ki lazzaten
sara husn-e-shairi sikkon ki chahat kha gai
daere hirs-o-hawas ke jis qadar baDhte gae
KHud-faramoshi baDhi husn-e-qanaat kha gai
kitni hi labrez ho husn-e-maani se 'tarab'
un ke andaz-e-taKHatub ko tawalat kha gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.