zindagi tujhse alag tarz-e-bayan chahta hai
zindagī tujh se alag tarz-e-bayāñ chāhtā hai
vo taḳhātub ke liye nok-e-sināñ chāhtā hai
ek ik ashk mirā izn-e-ravānī māñge
ek ik dard mirā āh-o-fuġhāñ chāhtā hai
ishq ik ālam-e-hairāñ hai yaqīnī se pare
jo ki har lahza koī dasht-e-gumāñ chāhtā hai
teġh-e-ādā-e-mohabbat mire shānoñ ko na dekh
merī bāñhoñ meñ koī apnī amaañ chāhtā hai
Dhaltā jaatā huuñ tire saath 'safar' karte hue
aur kyā mujh se tū ai vaqt-e-ravāñ chāhtā hai
zindagi tujh se alag tarz-e-bayan chahta hai
wo taKHatub ke liye nok-e-sinan chahta hai
ek ek ashk mera izn-e-rawani mange
ek ek dard mera aah-o-fughan chahta hai
ishq ek aalam-e-hairan hai yaqini se pare
jo ki har lahza koi dasht-e-guman chahta hai
tegh-e-ada-e-mohabbat mere shanon ko na dekh
meri banhon mein koi apni aman chahta hai
Dhalta jata hun tere sath 'safar' karte hue
aur kya mujh se tu ai waqt-e-rawan chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.