zindagi tujhse bahut aaj main sharminda hun
zindagī tujh se bahut aaj maiñ sharminda huuñ
maut har saañs meñ aatī hai magar zinda huuñ
jab koī raag maiñ chheḌūñ to barastā hai lahū
jis kā har saaz shikasta hai vo sāzinda huuñ
jhuuT hotā na jo sach bhī na jahāñ meñ hotā
tīrgī saath hai is vāste tābinda huuñ
mujh ko aatā nahīñ duniyā kī ġhulāmī karnā
apne jazbāt-o-ḳhayālāt kā kārinda huuñ
mar ke bhī zinda maiñ ho jā.ūñgā mujh ko hai yaqīñ
maut ko aa.egī ḳhud maut maiñ pā.inda huuñ
apne nāḳhun se jo chheḌūñ to maza aatā hai
dil ke sūkhe hue zaḳhmoñ kā maiñ ḳhārinda huuñ
sach hai 'tauqīr' ki kīchaḌ meñ kañval khiltā hai
bevafā shahr hai jis shahr kā bāshinda huuñ
zindagi tujh se bahut aaj main sharminda hun
maut har sans mein aati hai magar zinda hun
jab koi rag main chheDun to barasta hai lahu
jis ka har saz shikasta hai wo sazinda hun
jhuT hota na jo sach bhi na jahan mein hota
tirgi sath hai is waste tabinda hun
mujh ko aata nahin duniya ki ghulami karna
apne jazbaat-o-KHayalat ka karinda hun
mar ke bhi zinda main ho jaunga mujh ko hai yaqin
maut ko aaegi KHud maut main painda hun
apne naKHun se jo chheDun to maza aata hai
dil ke sukhe hue zaKHmon ka main KHarinda hun
sach hai 'tauqir' ki kichaD mein kanwal khilta hai
bewafa shahr hai jis shahr ka bashinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.