zindagi tujhse kisi roz bichhaD jaunga
zindagī tujh se kisī roz bichhaḌ jā.ūñgā
ek patte kī tarah shāḳh se jhaḌ jā.ūñgā
vaqt ke saath badalnā hī paḌegā mujh ko
peḌ kī tarh havāoñ se ukhaḌ jā.ūñgā
mujh se mat ruuTh mirā saath nibhā de kuchh roz
ek din aa.egā maiñ aap bichhaḌ jā.ūñgā
zer kar legā tujhe bhī tirī ḳhvāhish kā tilism
maiñ bhī hālāt ke afsūñ se pachhaḌ jā.ūñgā
zaat us kī hī to ik merā sahārā hai 'matīn'
kyā karūñgā maiñ agar us se bichhaḌ jā.ūñgā
zindagi tujh se kisi roz bichhaD jaunga
ek patte ki tarah shaKH se jhaD jaunga
waqt ke sath badalna hi paDega mujh ko
peD ki tarh hawaon se ukhaD jaunga
mujh se mat ruTh mera sath nibha de kuchh roz
ek din aaega main aap bichhaD jaunga
zer kar lega tujhe bhi teri KHwahish ka tilism
main bhi haalat ke afsun se pachhaD jaunga
zat us ki hi to ek mera sahaara hai 'matin'
kya karunga main agar us se bichhaD jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.