zindagi tujhse subuk-dosh hue jate hain
zindagī tujh se subuk-dosh hue jaate haiñ
dekh ham log bhī ḳhāmosh hue jaate haiñ
chhāoñ milte hī Thahar jaate haiñ sustāne ko
yā'nī ab kachhve bhī ḳhargosh hue jaate haiñ
tum bhī kuchh der ko chhup jaao sitāro jā kar
ham bhī kuchh der ko rū-posh hue jaate haiñ
ḳhvāb-e-ġhaflat se charāġhoñ ko jagānā hogā
hausle āñdhī ke pur-josh hue jaate haiñ
tazkira baaġh meñ kis kā ye chhiḌā hai dekho
phuul sun ke jise mad.hosh hue jaate haiñ
zindagi tujh se subuk-dosh hue jate hain
dekh hum log bhi KHamosh hue jate hain
chhaon milte hi Thahar jate hain sustane ko
ya'ni ab kachhwe bhi KHargosh hue jate hain
tum bhi kuchh der ko chhup jao sitaro ja kar
hum bhi kuchh der ko ru-posh hue jate hain
KHwab-e-ghaflat se charaghon ko jagana hoga
hausle aandhi ke pur-josh hue jate hain
tazkira bagh mein kis ka ye chhiDa hai dekho
phul sun ke jise madhosh hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.