zindagi usne sanwari hai saza se pahle
zindagī us ne sañvārī hai sazā se pahle
naam likhtā thā ḳhudā kā jo ḳhudā se pahle
koī anjān sī ḳhushbū hai mire hāthoñ meñ
ik 'ajab nuur chamaktā hai du'ā se pahle
tum charāġhoñ ko sajāne ke liye nikle ho
tum ne pūchhā bhī kabhī dost havā se pahle
ujlī rātoñ kā ye sannāTā 'ajab hai lekin
koī shai TūTne lagtī hai sadā se pahle
phir kahīñ jā ke barastā hai ye pyāsā sāvan
nuur kī buuñd chamaktī hai ghaTā se pahle
zindagi us ne sanwari hai saza se pahle
nam likhta tha KHuda ka jo KHuda se pahle
koi anjaan si KHushbu hai mere hathon mein
ek 'ajab nur chamakta hai du'a se pahle
tum charaghon ko sajaane ke liye nikle ho
tum ne puchha bhi kabhi dost hawa se pahle
ujli raaton ka ye sannaTa 'ajab hai lekin
koi shai TuTne lagti hai sada se pahle
phir kahin ja ke barasta hai ye pyasa sawan
nur ki bund chamakti hai ghaTa se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.