zindagi waqt ke bahao mein hai
zindagī vaqt ke bahāo meñ hai
aaj har aadmī tanāv meñ hai
ye kahāñ aa ke kho ga.e ham tum
jab safar āḳhirī paḌāv meñ hai
ham ne dariyā pe rakh diyā ilzām
ye na dekhā ki chhed naav meñ hai
dekh kar us ne pher lī nazreñ
vo yaqīnan kisī dabāo meñ hai
bikhrā bikhrā vajūd hai andar
ghar ba-zāhir to rakh-rakhāv meñ hai
nafrateñ haiñ usī ke hisse meñ
pyaar jis shaḳhs ke subhāv meñ hai
aaj 'sālim' muāshra apnā
mubtalā kitne bhed-bhāv meñ hai
zindagi waqt ke bahao mein hai
aaj har aadmi tanaw mein hai
ye kahan aa ke kho gae hum tum
jab safar aaKHiri paDaw mein hai
hum ne dariya pe rakh diya ilzam
ye na dekha ki chhed naw mein hai
dekh kar us ne pher li nazren
wo yaqinan kisi dabao mein hai
bikhra bikhra wajud hai andar
ghar ba-zahir to rakh-rakhaw mein hai
nafraten hain usi ke hisse mein
pyar jis shaKHs ke subhaw mein hai
aaj 'salim' muashra apna
mubtala kitne bhed-bhaw mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.