zindagi yun to bahut ayyar thi chaalak thi
zindagī yuuñ to bahut ayyār thī chālāk thī
maut ne chhū kar jo dekhā ek muTThī ḳhaak thī
jāgtī āñkhoñ ke sapne dil-nashīñ to the magar
mere har ik ḳhvāb kī ta.abīr haibatnāk thī
aaj kāñTe bhī chhupā.e haiñ libādoñ meñ badan
ik zamāne meñ to fasl-e-gul bhī dāman chaak thī
thā hameñ bhī har qadam pe naak kaT jaane kā Dar
un dinoñ kī baat hai jab apne muñh par naak thī
thā laḌakpan kā zamāna sarfaroshī se bharā
ham usī talvār par marte the jo saffāk thī
dostoñ ke darmiyāñ sach bolte Dartā hai vo
dushmanoñ kī bhiiḌ meñ jis kī zabāñ be-bāk thī
zindagi yun to bahut ayyar thi chaalak thi
maut ne chhu kar jo dekha ek muTThi KHak thi
jagti aankhon ke sapne dil-nashin to the magar
mere har ek KHwab ki tabir haibatnak thi
aaj kanTe bhi chhupae hain libaadon mein badan
ek zamane mein to fasl-e-gul bhi daman chaak thi
tha hamein bhi har qadam pe nak kaT jaane ka Dar
un dinon ki baat hai jab apne munh par nak thi
tha laDakpan ka zamana sarfaroshi se bhara
hum usi talwar par marte the jo saffak thi
doston ke darmiyan sach bolte Darta hai wo
dushmanon ki bhiD mein jis ki zaban be-bak thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.