zinhaar himmat apne se hargiz na haariye
zinhaar himmat apne se hargiz na haariye
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
zinhār himmat apne se hargiz na hāriye
shīshe meñ us parī ko na jab tak utāriye
auzā'a DhūñDh-DhāD ke yāroñ se sīkhiye
hote nahīñ jahān meñ ham se niyāriye
ai ashk-e-garm kar mire dil kā ilaaj kuchh
mash.hūr hai ki choT ko paanī se dhāriye
jo ahl-e-faqr-o-shāh khumhāre ke haiñ murīd
paale haiñ in sabhoñ ne kabūtar kumhāriye
galne kī daal yaañ nahīñ bas ḳhushka khā.iye
ai shaiḳh sāhab aap na sheḳhī baghāriye
kal jin ko khīre kakḌī kyā kos kaaT kar
aaj us parī ne in ko diye narm āriye
ho aab meñ kadar to Thahar jā.iye Tuk ek
dil meñ kudūrat aave to kyūñkar nithāriye
hai kaun sī ye vaz.a bhalā sochiye to aap
bāteñ udhar ko kiije idhar aañkh māriye
pūchhe haqīqat ek ne jo amn-e-rāh kī
to bole sar jhukā ke bachā vo madāriye
ḳhatra na aap kiije bas ab ḳhair shauq se
sonā uchhālte hue ghar ko sidhāriye
hai jo buland-hausla un kī ye chaal hai
kyā phir unheñ bigāḌiye jin ko sañvāriye
panDit jī ham meñ un meñ bhalā kaise hone ke
pothī ko apne kholiye kuchh to bichāriye
'inshā' koī javāb bhī denā nahīñ hameñ
bāñg-e-jaras kī tarah kahāñ tak pukāriye
zinhaar himmat apne se hargiz na haariye
shishe mein us pari ko na jab tak utariye
auza'a DhunDh-DhaD ke yaron se sikhiye
hote nahin jahan mein hum se niyariye
ai ashk-e-garm kar mere dil ka ilaj kuchh
mashhur hai ki choT ko pani se dhaariye
jo ahl-e-faqr-o-shah khumhaare ke hain murid
pale hain in sabhon ne kabutar kumhaariye
galne ki dal yan nahin bas KHushka khaiye
ai shaiKH sahab aap na sheKHi baghaariye
kal jin ko khire kakDi kya kos kaT kar
aaj us pari ne in ko diye narm aariye
ho aab mein kadar to Thahar jaiye Tuk ek
dil mein kudurat aawe to kyunkar nithaariye
hai kaun si ye waza bhala sochiye to aap
baaten udhar ko kije idhar aankh mariye
puchhe haqiqat ek ne jo amn-e-rah ki
to bole sar jhuka ke bacha wo madariye
KHatra na aap kije bas ab KHair shauq se
sona uchhaalte hue ghar ko sidhaariye
hai jo buland-hausla un ki ye chaal hai
kya phir unhen bigaDiye jin ko sanwariye
panDit ji hum mein un mein bhala kaise hone ke
pothi ko apne kholiye kuchh to bichaariye
'insha' koi jawab bhi dena nahin hamein
bang-e-jaras ki tarah kahan tak pukariye
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.