ziya-e-husn-e-jaanan jaguzin malum hoti hai
ziyā-e-husn-e-jānāñ jāguzīñ ma.alūm hotī hai
bayāz-e-chashm-e-dil arsh-e-barīñ ma.alūm hotī hai
tirī sūrat bhī kaisī dil-nashīñ ma.alūm hotī hai
ki jis dil meñ use DhūñDo vahīñ ma.alūm hotī hai
asar is darja kar rakkhā hai ḳhauf-e-hijr ne dil par
ki un kī haañ bhī ab mujh ko nahīñ ma.alūm hotī hai
idhar āñkheñ milīñ un se musaḳhḳhar thā idhar āshiq
nigāh-e-dil-rubā sehr-āfrīñ ma.alūm hotī hai
bahār aa.ī hai yā fasl-e-junūñ aa.ī hai gulshan meñ
ik ik gul kī qabā be-āstīñ ma.alūm hotī hai
na niklī hai na ab niklegī mere ḳhāna-e-dil se
ik ik hasrat mirī ḳhalvat-nashīñ ma.alūm hotī hai
kuchh aisā ho gayā chashm-e-kahīl-e-yār kā saudā
ki nargis bhī mujhe ab surmagīñ ma.alūm hotī hai
ghulāyā mujh ko rafta-rafta yār-e-zulf-e-barham ne
mohabbat us kī mār-e-āstīñ ma.alūm hotī hai
kaTe ham ḳhauf se bal un kī peshānī pe kyā aaya
koī shamshīr vo chīñ-bar-jabīñ ma.alūm hotī hai
tirī shīrīñ-kalāmī kā vo dil ko shauq hai saaqī
sharāb-e-talḳh bhī ab añgbīñ ma.alūm hotī hai
nigāh-e-ārzū par bhī asar hai yaas kā itnā
ki sar-tā-pā nigāh-e-vāpsīñ ma.alūm hotī hai
jahāñ baal aa gayā us meñ kahāñ phir ḳhair shīshe kī
tumhārī zulf dil meñ jāguzīñ ma.alūm hotī hai
kiyā hai is qadar gum mujh ko zauq-e-jab.ha-sā.ī ne
shabīh-e-pā mujhe naqsh-e-jabīñ ma.alūm hotī hai
guzar kar mai-kade se chashma-e-kausar pe jā pahuñchī
nazar shaiḳh-e-haram kī daur meñ ma.alūm hotī hai
'tabīb' apnī ġhazal hai yā koī phūlā-phalā gulshan
baḌī sairāb sheroñ kī zamīñ ma.alūm hotī hai
ziya-e-husn-e-jaanan jaguzin malum hoti hai
bayaz-e-chashm-e-dil arsh-e-barin malum hoti hai
teri surat bhi kaisi dil-nashin malum hoti hai
ki jis dil mein use DhunDo wahin malum hoti hai
asar is darja kar rakkha hai KHauf-e-hijr ne dil par
ki un ki han bhi ab mujh ko nahin malum hoti hai
idhar aankhen milin un se musaKHKHar tha idhar aashiq
nigah-e-dil-ruba sehr-afrin malum hoti hai
bahaar aai hai ya fasl-e-junun aai hai gulshan mein
ek ek gul ki qaba be-astin malum hoti hai
na nikli hai na ab niklegi mere KHana-e-dil se
ek ek hasrat meri KHalwat-nashin malum hoti hai
kuchh aisa ho gaya chashm-e-kahil-e-yar ka sauda
ki nargis bhi mujhe ab surmagin malum hoti hai
ghulaya mujh ko rafta-rafta yar-e-zulf-e-barham ne
mohabbat us ki mar-e-astin malum hoti hai
kaTe hum KHauf se bal un ki peshani pe kya aaya
koi shamshir wo chin-bar-jabin malum hoti hai
teri shirin-kalami ka wo dil ko shauq hai saqi
sharab-e-talKH bhi ab angbin malum hoti hai
nigah-e-arzu par bhi asar hai yas ka itna
ki sar-ta-pa nigah-e-wapsin malum hoti hai
jahan baal aa gaya us mein kahan phir KHair shishe ki
tumhaari zulf dil mein jaguzin malum hoti hai
kiya hai is qadar gum mujh ko zauq-e-jabha-sai ne
shabih-e-pa mujhe naqsh-e-jabin malum hoti hai
guzar kar mai-kade se chashma-e-kausar pe ja pahunchi
nazar shaiKH-e-haram ki daur mein malum hoti hai
'tabib' apni ghazal hai ya koi phula-phala gulshan
baDi sairab sheron ki zamin malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.