zoam sahraon ka miTTi mein mila sakta hun main
zo.am sahrāoñ kā miTTī meñ milā saktā huuñ maiñ
haañ isī sūkhe gale se giit gā saktā huuñ maiñ
māntā huuñ maiñ nahīñ koī samundar sā vasī.a
par kisī pyāse ko paanī to pilā saktā huuñ maiñ
baiTh kar sāhil pe itnī to tasallī ho ga.ī
chand lamhoñ ko sahī ek ghar banā saktā huuñ maiñ
ek din to ḳhud-talāshī had se bāhar ho ga.ī
yuuñ lagā ā.īna ke bhī paar jā saktā huuñ maiñ
tum sarāpā dil ho jo siine se bāhar rah gayā
kyā kisī din tum ko siine se lagā saktā huuñ maiñ
zoam sahraon ka miTTi mein mila sakta hun main
han isi sukhe gale se git ga sakta hun main
manta hun main nahin koi samundar sa wasia
par kisi pyase ko pani to pila sakta hun main
baiTh kar sahil pe itni to tasalli ho gai
chand lamhon ko sahi ek ghar bana sakta hun main
ek din to KHud-talashi had se bahar ho gai
yun laga aaina ke bhi par ja sakta hun main
tum sarapa dil ho jo sine se bahar rah gaya
kya kisi din tum ko sine se laga sakta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.