zor miTTi ki jasarat mein rawani bhar tha
zor miTTī kī jasārat meñ ravānī bhar thā
'umr kā qissa faqat ek kahānī bhar thā
yaad karte haiñ magar dard se 'aarī rah kar
'ishq jaise ki hameñ sirf nishānī bhar thā
she'riyāt ab ke zamāne ke mutābiq the na.e
she'r pahle sā vahī lafz-o-ma'ānī bhar thā
ham ne hijrat ke 'azāboñ ko sahā aur ik din
ham pe hijrat kā asar naql-e-makānī bhar thā
ashk āñkhoñ ke liye nam kī zarūrat bhar the
zaḳhm jiine ke liye yād-dahānī bhar thā
zor miTTi ki jasarat mein rawani bhar tha
'umr ka qissa faqat ek kahani bhar tha
yaad karte hain magar dard se 'ari rah kar
'ishq jaise ki hamein sirf nishani bhar tha
she'riyat ab ke zamane ke mutabiq the nae
she'r pahle sa wahi lafz-o-ma'ani bhar tha
hum ne hijrat ke 'azabon ko saha aur ek din
hum pe hijrat ka asar naql-e-makani bhar tha
ashk aankhon ke liye nam ki zarurat bhar the
zaKHm jine ke liye yaad-dahani bhar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.