zor se chiKHte pukarte hain
zor se chīḳhte pukārte haiñ
kuchh na.e se zabāñ pe aable haiñ
dekh sakte nahīñ zarā sā ham
to chalo aao ḳhvāb lūTte haiñ
Daal rakkhe haiñ kab se kiise meñ
sirf apnoñ meñ ranj bāñTne haiñ
apne har moḌ par na jaane kyoñ
raushnī ke siyāh qumqume haiñ
saath do pal guzār ke phir se
yaad ik gum-shuda sī DhūñDte haiñ
ghar ho ke bhī safar adhūrā hai
qadr ke bhī ajiib faisle haiñ
ek saf meñ khaḌe hue ham sab
apne apne butoñ ko pūjte haiñ
chaa.e do cup uñDel kar 'mansūr'
aaj bhī us kī raah dekhte haiñ
zor se chiKHte pukarte hain
kuchh nae se zaban pe aable hain
dekh sakte nahin zara sa hum
to chalo aao KHwab luTte hain
Dal rakkhe hain kab se kise mein
sirf apnon mein ranj banTne hain
apne har moD par na jaane kyon
raushni ke siyah qumqume hain
sath do pal guzar ke phir se
yaad ek gum-shuda si DhunDte hain
ghar ho ke bhi safar adhura hai
qadr ke bhi ajib faisle hain
ek saf mein khaDe hue hum sab
apne apne buton ko pujte hain
chae do cup unDel kar 'mansur'
aaj bhi us ki rah dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.