zor yun dard ka kam hone laga aaKHir-e-shab
Interesting Fact
نذر مخدوم محی الدین
zor yuuñ dard kā kam hone lagā āḳhir-e-shab
jis tarah TūTne lagtā hai nasha āḳhir-e-shab
be-sabab hī to mirī aañkh nahīñ khul saktī
kis ne bhūle se mujhe yaad kiyā āḳhir-e-shab
shāyad aa pahuñche haiñ nazdīk safīrān-e-sahar
koī detā hai dar-dil pe sadā āḳhir-e-shab
jāñ-nisārī meñ patangoñ ne kamī kyā kī thī
sham.a ne kis liye dam toḌ diyā āḳhir-e-shab
aap ke paañv kī aahaT kā gumāñ hotā hai
ghar ke āñgan meñ jab aatī hai sabā āḳhir-e-shab
kis ke ashkoñ kā ḳhudā jaane asar hai 'rāhī'
bhīgī bhīgī sī jo rahtī hai fazā āḳhir-e-shab
zor yun dard ka kam hone laga aaKHir-e-shab
jis tarah TuTne lagta hai nasha aaKHir-e-shab
be-sabab hi to meri aankh nahin khul sakti
kis ne bhule se mujhe yaad kiya aaKHir-e-shab
shayad aa pahunche hain nazdik safiran-e-sahar
koi deta hai dar-dil pe sada aaKHir-e-shab
jaan-nisari mein patangon ne kami kya ki thi
shama ne kis liye dam toD diya aaKHir-e-shab
aap ke panw ki aahaT ka guman hota hai
ghar ke aangan mein jab aati hai saba aaKHir-e-shab
kis ke ashkon ka KHuda jaane asar hai 'rahi'
bhigi bhigi si jo rahti hai faza aaKHir-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.