zuhur-e-zat ka tul-e-masafat kaun samjhega
zuhūr-e-zāt kā tūl-e-masāfat kaun samjhegā
na ham bole to phir asrār-e-hijrat kaun samjhegā
zamīñ par maar kar sāġhar ye vā'iz kahtā jaatā hai
musalsal hosh meñ rahne kī vahshat kaun samjhegā
girāo bijliyāñ yuuñ hī jalāo āshiyāñ yuuñ hī
vagarna rāz-e-mafhūm-e-qayāmat kaun samjhegā
tire pahlū meñ rahne kī suhūlat log pūchheñge
tire pahlū tak aane kī aziyyat kaun samjhegā
nahīñ haiñ jin meñ poshīda koī āsār jismoñ ke
'safar' jannat meñ un rūhoñ kī ġhurbat kaun samjhegā
zuhur-e-zat ka tul-e-masafat kaun samjhega
na hum bole to phir asrar-e-hijrat kaun samjhega
zamin par mar kar saghar ye wa'iz kahta jata hai
musalsal hosh mein rahne ki wahshat kaun samjhega
girao bijliyan yun hi jalao aashiyan yun hi
wagarna raaz-e-mafhum-e-qayamat kaun samjhega
tere pahlu mein rahne ki suhulat log puchhenge
tere pahlu tak aane ki aziyyat kaun samjhega
nahin hain jin mein poshida koi aasar jismon ke
'safar' jannat mein un ruhon ki ghurbat kaun samjhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.