zuhur mera azal se hai irtiqa ban kar
zuhūr merā azal se hai irtiqā ban kar
isī tarah se maiñ qaa.em huuñ silsila ban kar
zamīñ pe kitne samandar mirī talāsh meñ the
maiñ āsmān pe uḌtā rahā ghaTā ban kar
sivā.e mere na thā koī jo mujhe suntā
tamām dasht meñ gūñjā huuñ maiñ sadā ban kar
mire vajūd ke andar hī saarī duniyā thī
maiñ dekhtā rahā duniyā ko aa.ina ban kar
na koī samt hai mere liye na manzil hai
ki ibtidā se chalā huuñ maiñ intihā ban kar
har ek chiiz jo dekhī hayāt se 'aarī
maiñ chhā gayā ruḳh-e-mahtāb par fazā ban kar
kabhī jo dasht-navardī se vaqt miltā hai
guloñ ko chūmtā phirtā huuñ maiñ sabā ban kar
nigāh milte hī sharmā ke rah gayā koī
chhupā huā thā maiñ āñkhoñ meñ mudda'ā ban kar
vo raat jis meñ dhaḌakte rahe haiñ ham donoñ
vo raat kaash phir aa jaa.e hādisa ban kar
hazār aag ke dariyāoñ se guzarnā hai
'asar' hayāt milī bhī to marhala ban kar
zuhur mera azal se hai irtiqa ban kar
isi tarah se main qaem hun silsila ban kar
zamin pe kitne samandar meri talash mein the
main aasman pe uDta raha ghaTa ban kar
siwae mere na tha koi jo mujhe sunta
tamam dasht mein gunja hun main sada ban kar
mere wajud ke andar hi sari duniya thi
main dekhta raha duniya ko aaina ban kar
na koi samt hai mere liye na manzil hai
ki ibtida se chala hun main intiha ban kar
har ek chiz jo dekhi hayat se 'ari
main chha gaya ruKH-e-mahtab par faza ban kar
kabhi jo dasht-nawardi se waqt milta hai
gulon ko chumta phirta hun main saba ban kar
nigah milte hi sharma ke rah gaya koi
chhupa hua tha main aankhon mein mudda'a ban kar
wo raat jis mein dhaDakte rahe hain hum donon
wo raat kash phir aa jae hadisa ban kar
hazar aag ke dariyaon se guzarna hai
'asar' hayat mili bhi to marhala ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.