zulf-e-daraaz se ye numayan hai ghaaliban
zulf-e-darāz se ye numāyāñ hai ġhāliban
bhālū kī shakl kā koī insāñ hai ġhāliban
qaul o amal meñ jis ke nazar aa.e kuchh tazād
vo maulvī nahīñ koī shaitāñ hai ġhāliban
gulshan meñ to guloñ kā kahīñ naam tak nahīñ
ye bāġhbāñ ke haath meñ ghoiyāñ hai ġhāliban
hotā hai us kī shoḳhi-e-guftār par gumāñ
lahbaḌ nahīñ hai ye koī Toiyāñ hai ġhāliban
hotā nahīñ hai ab jo namak-pāshiyoñ kā daur
bas ḳhālī ḳhālī un kā namak-dāñ hai ġhāliban
bulbul ġhunūdgī meñ hai aur phuul muzmahil
afyūnchī ye saarā gulistāñ hai ġhāliban
firqa-parastiyoñ ne khilā.e kuchh aise gul
samjhe ye log fasl-e-bahārāñ hai ġhāliban
yuuñ be-tahāsha piine lage mai-kade meñ shaiḳh
Tharrā bhī ab to bāda-e-irfāñ hai ġhāliban
rah kar hamārī gardish-e-qismat ke saath saath
chakkar meñ ḳhud bhī gardish-e-daurāñ hai ġhāliban
hurmat kā us kī aap ko vaa.iz jo hai ḳhayāl
bint-e-inab huzūr hī kī maañ hai ġhāliban
har samt jo jalājal-o-qarnā kā shor hai
ġhāzī-miyāñ ke byaah kā sāmāñ hai ġhāliban
ai 'shauq' har tarah ke nazar aa rahe haiñ husn
naḳhḳhās hī meñ kūcha-e-jānāñ hai ġhāliban
zulf-e-daraaz se ye numayan hai ghaaliban
bhaalu ki shakl ka koi insan hai ghaaliban
qaul o amal mein jis ke nazar aae kuchh tazad
wo maulwi nahin koi shaitan hai ghaaliban
gulshan mein to gulon ka kahin nam tak nahin
ye baghban ke hath mein ghoiyan hai ghaaliban
hota hai us ki shoKHi-e-guftar par guman
lahbaD nahin hai ye koi Toiyan hai ghaaliban
hota nahin hai ab jo namak-pashiyon ka daur
bas KHali KHali un ka namak-dan hai ghaaliban
bulbul ghunudgi mein hai aur phul muzmahil
afyunchi ye sara gulistan hai ghaaliban
firqa-parastiyon ne khilae kuchh aise gul
samjhe ye log fasl-e-bahaaran hai ghaaliban
yun be-tahasha pine lage mai-kade mein shaiKH
Tharra bhi ab to baada-e-irfan hai ghaaliban
rah kar hamari gardish-e-qismat ke sath sath
chakkar mein KHud bhi gardish-e-dauran hai ghaaliban
hurmat ka us ki aap ko waiz jo hai KHayal
bint-e-inab huzur hi ki man hai ghaaliban
har samt jo jalajal-o-qarna ka shor hai
ghazi-miyan ke byah ka saman hai ghaaliban
ai 'shauq' har tarah ke nazar aa rahe hain husn
naKHKHas hi mein kucha-e-jaanan hai ghaaliban
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.