zulf-e-jaanan ki taraf yun na pareshan chaliye
zulf-e-jaanan ki taraf yun na pareshan chaliye
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
zulf-e-jānāñ kī taraf yuuñ na pareshāñ chaliye
un se milne kā irāda hai to ḳhandāñ chaliye
'ishq pāband nahīñ vaqt kī dīvāroñ kā
husn kā shahr salāmat hai ġhazal-ḳhvāñ chaliye
kār-nāma koī anjām to de leñ jis par
faḳhr karte hue ai gardish-e-daurāñ chaliye
inqalāb aa.e to insān kā ġham khāne ko
sar ke bal shauq se tūfān-ba-dāmāñ chaliye
vasl kī shāḳh harī ho to muqaddar samjho
hijr shāmil ho to bādīda-e-giryāñ chaliye
vo bhī kahte haiñ ki hālāt badal sakte haiñ
mil ke sahrā ko banā leñge gulistāñ chaliye
ek se ek hai nazzāra na.ī duniyā meñ
aa.iye dekhiye angusht-ba-dandāñ chaliye
mo'atabar log jharokoñ meñ khaḌe haiñ 'zaidī'
un kī nazroñ meñ hai har dard kā darmāñ chaliye
zulf-e-jaanan ki taraf yun na pareshan chaliye
un se milne ka irada hai to KHandan chaliye
'ishq paband nahin waqt ki diwaron ka
husn ka shahr salamat hai ghazal-KHwan chaliye
kar-nama koi anjam to de len jis par
faKHr karte hue ai gardish-e-dauran chaliye
inqalab aae to insan ka gham khane ko
sar ke bal shauq se tufan-ba-daman chaliye
wasl ki shaKH hari ho to muqaddar samjho
hijr shamil ho to baadida-e-giryan chaliye
wo bhi kahte hain ki haalat badal sakte hain
mil ke sahra ko bana lenge gulistan chaliye
ek se ek hai nazzara nai duniya mein
aaiye dekhiye angusht-ba-dandan chaliye
mo'atabar log jharokon mein khaDe hain 'zaidi'
un ki nazron mein hai har dard ka darman chaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.