zulf-e-mazi ko phir siyah karen
zulf-e-māzī ko phir siyāh kareñ
ishq meñ aao jaañ tabāh kareñ
chhoḌ kar ye sukūn kī bāteñ
be-qarārī kī aur chaah kareñ
har taraf hai bujhī bujhī duniyā
jab idhar yā udhar nigāh kareñ
phir huā ye ġhamoñ ne gher liyā
justujū thī kabhī ki aah kareñ
be-irāda hī ḳhud chale aa.eñ
kaash aisā koī gunāh kareñ
sādgī un pe saj nahīñ saktī
un se kah do ki kaj kulāh kareñ
vaqt ḳhushbū badal ke mahkegā
vo jo 'nik.hat' mujhe gavāh kareñ
zulf-e-mazi ko phir siyah karen
ishq mein aao jaan tabah karen
chhoD kar ye sukun ki baaten
be-qarari ki aur chah karen
har taraf hai bujhi bujhi duniya
jab idhar ya udhar nigah karen
phir hua ye ghamon ne gher liya
justuju thi kabhi ki aah karen
be-irada hi KHud chale aaen
kash aisa koi gunah karen
sadgi un pe saj nahin sakti
un se kah do ki kaj kulah karen
waqt KHushbu badal ke mahkega
wo jo 'nikhat' mujhe gawah karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.