zulf-e-shab ka saya bhi kis qadar ghanera hai
zulf-e-shab kā saaya bhī kis qadar ghanerā hai
dil se un kī mahfil tak rāsta añdherā hai
āriz-e-tabassum par ġhāza-e-takalluf kyoñ
muskurā ke dekho to har taraf saverā hai
shāḳh-e-gul sī bāheñ hoñ yā ḳhunak havā.eñ hoñ
tā.ir-e-taḳhayyul kā kab kahīñ baserā hai
un kā naam jab leñge dil zarūr dhaḌkegā
un kī yaad kā jab tak mere dil meñ Derā hai
dāman-e-mohabbat meñ āñsuoñ ke motī haiñ
yā chaman meñ shabnam ne la.al-o-zar bikherā hai
tum matā-e-ġham 'sābir' jaise ho bachā lenā
rahzanoñ kī bastī hai dākuoñ kā Derā hai
zulf-e-shab ka saya bhi kis qadar ghanera hai
dil se un ki mahfil tak rasta andhera hai
aariz-e-tabassum par ghaza-e-takalluf kyon
muskura ke dekho to har taraf sawera hai
shaKH-e-gul si bahen hon ya KHunak hawaen hon
tair-e-taKHayyul ka kab kahin basera hai
un ka nam jab lenge dil zarur dhaDkega
un ki yaad ka jab tak mere dil mein Dera hai
daman-e-mohabbat mein aansuon ke moti hain
ya chaman mein shabnam ne lal-o-zar bikhera hai
tum mata-e-gham 'sabir' jaise ho bacha lena
rahzanon ki basti hai dakuon ka Dera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.