zulf ke Dore na Dalo yar mujh par
zulf ke Dore na Daalo yaar mujh par
aaj itnā to karo upkār mujh par
kyā huā mujh ko mujhe kuchh to batāo
hañs rahe haiñ 'ishq ke bīmār mujh par
kab talak phereñge mujh se aap nazreñ
ik nazar to Dāliye sarkār mujh par
roz to jhagḌā kiyā karte ho mujh se
aaj kyoñ barsā rahe ho pyaar mujh par
us pe maiñ ne bhī likhīñ do-chār ġhazleñ
us ne bhī nazmeñ likhīñ do-chār mujh par
jab se maiñ terī kahānī kā huuñ hissa
ab nahīñ jañchtā koī kirdār mujh par
jāntā thā ghūm-phir ke aa.egā hī
'ishq kā ilzām āḳhir-kār mujh par
kyā pata mujh ko ki āḳhir kyoñ biThā.e
us ke ghar vāloñ ne pahre-dār mujh par
'ishq to āsān hai maiñ kar bhī letā
hai Tikā lekin mirā ghar-bār mujh par
zulf ke Dore na Dalo yar mujh par
aaj itna to karo upkar mujh par
kya hua mujh ko mujhe kuchh to batao
hans rahe hain 'ishq ke bimar mujh par
kab talak pherenge mujh se aap nazren
ek nazar to Daliye sarkar mujh par
roz to jhagDa kiya karte ho mujh se
aaj kyon barsa rahe ho pyar mujh par
us pe main ne bhi likhin do-chaar ghazlen
us ne bhi nazmen likhin do-chaar mujh par
jab se main teri kahani ka hun hissa
ab nahin janchta koi kirdar mujh par
jaanta tha ghum-phir ke aaega hi
'ishq ka ilzam aaKHir-kar mujh par
kya pata mujh ko ki aaKHir kyon biThae
us ke ghar walon ne pahre-dar mujh par
'ishq to aasan hai main kar bhi leta
hai Tika lekin mera ghar-bar mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.