zulf ke sanwarne mein der kitni lagti hai
zulf ke sañvarne meñ der kitnī lagtī hai
aur phir bikharne meñ der kitnī lagtī hai
aadmī bulandī pe dhīre dhīre jaatā hai
haañ magar utarne meñ der kitnī lagtī hai
māntā huuñ ye bāteñ us ne hī kahīñ lekin
baat se mukarne meñ der kitnī lagtī hai
us kā dil jo TuuTā to phir use samajh aayā
dil ke zaḳhm bharne meñ der kitnī lagtī hai
baat ke banāne meñ vaqt kitnā lagtā hai
baat ko katarne meñ der kitnī lagtī hai
ik zamāna lagtā hai dil talak pahuñchne meñ
dil se par utarne meñ der kitnī lagtī hai
vaqt sab kā aatā hai achchhā yā burā 'ātif'
vaqt ke guzarne meñ der kitnī lagtī hai
zulf ke sanwarne mein der kitni lagti hai
aur phir bikharne mein der kitni lagti hai
aadmi bulandi pe dhire dhire jata hai
han magar utarne mein der kitni lagti hai
manta hun ye baaten us ne hi kahin lekin
baat se mukarne mein der kitni lagti hai
us ka dil jo TuTa to phir use samajh aaya
dil ke zaKHm bharne mein der kitni lagti hai
baat ke banane mein waqt kitna lagta hai
baat ko katarne mein der kitni lagti hai
ek zamana lagta hai dil talak pahunchne mein
dil se par utarne mein der kitni lagti hai
waqt sab ka aata hai achchha ya bura 'atif'
waqt ke guzarne mein der kitni lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.