zulf mein be-naqab hai aariz
zulf meñ be-naqāb hai aariz
rashk-e-sad-āftāb hai aariz
maiñ musalmāñ huuñ farz hai bosa
mus.haf-e-lā-javāb hai aariz
mehr-o-mah naam jis ke dhūon kā
laakh meñ intiḳhāb hai aariz
hātimī ḳhatm hai adū ke liye
yaanī bosa-ma.āb hai aariz
ḳhud-numā hai vo māh-rū lekin
kuchh hayā kuchh shabāb hai aariz
daaġh chechak ke sifr-e-husn hue
daulat-e-be-hisāb hai aariz
husn ko da.avā-e-payāmabrī
aur us kī kitāb hai aariz
rad na kiije savāl bose kā
makramat intisāb hai aariz
ye na ho to vo ḳhud mileñ 'rāsiḳh'
shauq-e-nā-kāmyāb hai aariz
zulf mein be-naqab hai aariz
rashk-e-sad-aftab hai aariz
main musalman hun farz hai bosa
mushaf-e-la-jawab hai aariz
mehr-o-mah nam jis ke dhuon ka
lakh mein intiKHab hai aariz
hatimi KHatm hai adu ke liye
yani bosa-maab hai aariz
KHud-numa hai wo mah-ru lekin
kuchh haya kuchh shabab hai aariz
dagh chechak ke sifr-e-husn hue
daulat-e-be-hisab hai aariz
husn ko dawa-e-payamabri
aur us ki kitab hai aariz
rad na kije sawal bose ka
makramat intisab hai aariz
ye na ho to wo KHud milen 'rasiKH'
shauq-e-na-kaamyab hai aariz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.