zulfen khulin KHushbu uDi kam KHwab bhi aae
zulfeñ khulīñ ḳhushbū uḌī kam ḳhvāb bhī aa.e
jān-e-ġhazal se sher ke asbāb bhī aa.e
barsāt kā mausam bhī mere ishq sā niklā
ḳhushkī bhī aa.ī baad meñ sailāb bhī aa.e
tum ne mujhe dekhā hai pahlī baar hī dil se
shāyad ke tum ko aaj merā ḳhvāb bhī aa.e
nākāmiyoñ pe dushmanoñ ke tanz the lāzim
par haal pe hañsne mire ahbāb bhī aa.e
us shoḳh kā dil khīñchne 'az.har' ise bhejo
kuchh kaam meñ to ye dil-e-betāb bhī aa.e
zulfen khulin KHushbu uDi kam KHwab bhi aae
jaan-e-ghazal se sher ke asbab bhi aae
barsat ka mausam bhi mere ishq sa nikla
KHushki bhi aai baad mein sailab bhi aae
tum ne mujhe dekha hai pahli bar hi dil se
shayad ke tum ko aaj mera KHwab bhi aae
nakaamiyon pe dushmanon ke tanz the lazim
par haal pe hansne mere ahbab bhi aae
us shoKH ka dil khinchne 'azhar' ise bhejo
kuchh kaam mein to ye dil-e-betab bhi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.