zulm Dhaya jo sitamgar teri ranai ne
zulm Dhāyā jo sitamgar tirī ra.anā.ī ne
kah diyā sab se mirī chashm-e-tamāshā.ī ne
mujh ko dīvāna kiyā un kī ḳhud-ārā.ī ne
un ko maġhrūr kiyā merī jabīñ-sā.ī ne
maiñ kahāñ aur tirī anjuman-e-nāz kahāñ
zulm Dhaa.e tire darbāñ kī shanāsā.ī ne
sham.a ḳhāmosh hai chup huuñ maiñ kahe phir ye kaun
dil jalā.e haiñ tirī anjuman-ārā.ī ne
le ga.ī luuT ke sab sabr-o-ḳhirad hosh-o-havās
pā ke tanhā mujhe luuTā shab-e-tanhā.ī ne
vasl meñ kartī hai bebāk javānī kī umang
kah diyā aap kī mastī bharī añgḌā.ī ne
dekh kar aa.ina sharmā ke jhukā liiñ āñkheñ
kyā ḳhajil un ko kiyā da.avā-e-yaktā.ī ne
baaġh meñ bol ga.e bolne vaale bulbul
chup hazāroñ ko kiyā hai mirī goyā.ī ne
ek pyāle meñ banā ārif-e-kāmil 'safdar'
kar diyā mast mujhe sāġhar-e-mīnā.ī ne
zulm Dhaya jo sitamgar teri ranai ne
kah diya sab se meri chashm-e-tamashai ne
mujh ko diwana kiya un ki KHud-arai ne
un ko maghrur kiya meri jabin-sai ne
main kahan aur teri anjuman-e-naz kahan
zulm Dhae tere darban ki shanasai ne
shama KHamosh hai chup hun main kahe phir ye kaun
dil jalae hain teri anjuman-arai ne
le gai luT ke sab sabr-o-KHirad hosh-o-hawas
pa ke tanha mujhe luTa shab-e-tanhai ne
wasl mein karti hai bebak jawani ki umang
kah diya aap ki masti bhari angDai ne
dekh kar aaina sharma ke jhuka lin aankhen
kya KHajil un ko kiya dawa-e-yaktai ne
bagh mein bol gae bolne wale bulbul
chup hazaron ko kiya hai meri goyai ne
ek pyale mein bana aarif-e-kaamil 'safdar'
kar diya mast mujhe saghar-e-minai ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.