zulm hai iza-rasani hai wahi
zulm hai īzā-rasānī hai vahī
vaqt badlā hai kahānī hai vahī
ġham kā dariyā garche tūfāñ-ḳhez hai
dil kī kashtī meñ ravānī hai vahī
dil jo shāmil hai mirī buniyād meñ
sab dukhoñ kā ek baanī hai vahī
muddateñ guzrīñ hameñ bichhḌe hue
āsmāñ se bad-gumānī hai vahī
dushmanoñ se jo kabhī mansūb thī
dostoñ kī mehrbānī hai vahī
qais ko jis ne kabhī majnūñ kiyā
ab mujhe bhī ḳhaak uḌānī hai vahī
hausle ‘aql-o-ḳhirad ke past haiñ
par junūñ kī hukmrānī hai vahī
dūsroñ ke kaam jo aa.e 'zakī'
dar-haqīqat zindagānī hai vahī
zulm hai iza-rasani hai wahi
waqt badla hai kahani hai wahi
gham ka dariya garche tufan-KHez hai
dil ki kashti mein rawani hai wahi
dil jo shamil hai meri buniyaad mein
sab dukhon ka ek bani hai wahi
muddaten guzrin hamein bichhDe hue
aasman se bad-gumani hai wahi
dushmanon se jo kabhi mansub thi
doston ki mehrbani hai wahi
qais ko jis ne kabhi majnun kiya
ab mujhe bhi KHak uDani hai wahi
hausle ‘aql-o-KHirad ke past hain
par junun ki hukmrani hai wahi
dusron ke kaam jo aae 'zaki'
dar-haqiqat zindagani hai wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.