zulm ka anjam bhi zalim ko samjhae koi
zulm kā anjām bhī zālim ko samjhā.e koī
sabr kī ik had hai ye bhī us ko batlā.e koī
anfus-o-āfāq meñ maujūd hai us kī hī zaat
aadmī ke zehn tak ye baat pahuñchā.e koī
ḳhāndānān-e-ġhulāmāñ har taraf maujūd haiñ
un ke ehsānāt se kis tarh bach paa.e koī
Daal kar sadiyoñ purānī dhārnāoñ par kafan
saḌ rahī haiñ jo ye lāsheñ un ko dafnā.e koī
markaz-o-mehvar yahāñ keval ḳhudā kī zaat hai
ye zarā sī baat āqāoñ ko samjhā.e koī
'ilm-e-dīn-e-mustafā un ko sikhāne ke liye
dars-gāhoñ meñ imāmoñ ko bhī le jaa.e koī
sar se le kar paañv tak Duubā huā huuñ jhuuT meñ
sach ke sāhil tak mujhe kyā ḳhaak pahuñchā.e koī
zulm ka anjam bhi zalim ko samjhae koi
sabr ki ek had hai ye bhi us ko batlae koi
anfus-o-afaq mein maujud hai us ki hi zat
aadmi ke zehn tak ye baat pahunchae koi
KHandanan-e-ghulaman har taraf maujud hain
un ke ehsanat se kis tarh bach pae koi
Dal kar sadiyon purani dhaarnaon par kafan
saD rahi hain jo ye lashen un ko dafnae koi
markaz-o-mehwar yahan kewal KHuda ki zat hai
ye zara si baat aaqaon ko samjhae koi
'ilm-e-din-e-mustafa un ko sikhane ke liye
dars-gahon mein imamon ko bhi le jae koi
sar se le kar panw tak Duba hua hun jhuT mein
sach ke sahil tak mujhe kya KHak pahunchae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.