zulm ke shahr mein jine ka hunar de dena
zulm ke shahr meñ jiine kā hunar de denā
ai ḳhudā merī du'āoñ meñ asar de denā
zindagī dhuup ke sahrā meñ khaḌī hai kab se
aur kuchh tez ho sūraj ko ḳhabar de denā
vo bazāhir hai mirā dost ba-bātin dushman
ḳhud ko maiñ dekh sakūñ aisī nazar de denā
be-gharī bhiiḌ ke dhakkoñ se bachā.e kaise
jis meñ bas pair simaT jaa.e vo ghar de denā
jhuuT kī jabr kī suulī pe laTakte ilzām
ham pe jo shak kareñ ye un ke hī sar de denā
har bure kaam kā anjām burā hotā hai
ab zarā un ke irādoñ ko ye Dar de denā
un ko har ḳhvāb kī tā'bīr batā kar 'rāshid'
ek dil ek qadam ek nazar de denā
zulm ke shahr mein jine ka hunar de dena
ai KHuda meri du'aon mein asar de dena
zindagi dhup ke sahra mein khaDi hai kab se
aur kuchh tez ho suraj ko KHabar de dena
wo bazahir hai mera dost ba-baatin dushman
KHud ko main dekh sakun aisi nazar de dena
be-ghari bhiD ke dhakkon se bachae kaise
jis mein bas pair simaT jae wo ghar de dena
jhuT ki jabr ki suli pe laTakte ilzam
hum pe jo shak karen ye un ke hi sar de dena
har bure kaam ka anjam bura hota hai
ab zara un ke iradon ko ye Dar de dena
un ko har KHwab ki ta'bir bata kar 'rashid'
ek dil ek qadam ek nazar de dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.