zulm ki har taraf tirgi dekh li
zulm kī har taraf tīrgī dekh lī
'ilm phailā jahāñ raushnī dekh lī
naaz naḳhre adā sādgī dekh lī
phuul banñe se pahle kalī dekh lī
tum mile aur mil kar bichhaḌ bhī ga.e
is bahāne magar zindagī dekh lī
mushkiloñ meñ jo khote nahīñ hausla
aise logoñ kī zinda-dilī dekh lī
'aib-jūī se pahle ye socho kabhī
tum ne kyā apnī har ik kamī dekh lī
ek qatra bhī miltā nahīñ pyaas meñ
ham ne dariyā kī dariyā-dilī dekh lī
chand sikkoñ kī ḳhātir jo beche anā
saarī duniyā ne us kī ḳhudī dekh lī
be-ḳhatā ko yahāñ ab hai miltī sazā
daur-e-nau kī 'ajab munsifī dekh lī
dard-e-ġhurbat vahī bas samajh pā.egā
jis ne ḳhud apne ghar muflisī dekh lī
rahbarī ab kareñ bhī to kaise 'kashish'
is siyāsat kī har gandagī dekh lī
zulm ki har taraf tirgi dekh li
'ilm phaila jahan raushni dekh li
naz naKHre ada sadgi dekh li
phul banne se pahle kali dekh li
tum mile aur mil kar bichhaD bhi gae
is bahane magar zindagi dekh li
mushkilon mein jo khote nahin hausla
aise logon ki zinda-dili dekh li
'aib-jui se pahle ye socho kabhi
tum ne kya apni har ek kami dekh li
ek qatra bhi milta nahin pyas mein
hum ne dariya ki dariya-dili dekh li
chand sikkon ki KHatir jo beche ana
sari duniya ne us ki KHudi dekh li
be-KHata ko yahan ab hai milti saza
daur-e-nau ki 'ajab munsifi dekh li
dard-e-ghurbat wahi bas samajh paega
jis ne KHud apne ghar muflisi dekh li
rahbari ab karen bhi to kaise 'kashish'
is siyasat ki har gandagi dekh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.