zulm-o-jaur ko kab tak maslahat mein tolenge
zulm-o-jaur ko kab tak maslahat meñ toleñge
is sadī ke dānish-var kab zabān kholeñge
raas aa ga.ī jin ko bhiik āb-o-dāne kī
vo tuyūr ab hargiz bāl-o-par na kholeñge
be-hisī ke jazboñ ko ḳhuun kī zarūrat hai
kab zamīr jāgeñge kab avaam boleñge
ahl-e-kibr-o-naḳhvat kī apnī āstīnoñ meñ
vo jo saañp palte haiñ aur zahr gholeñge
chup rahe to zālim ko fursat-e-sitam hogī
ham qalam uThā.eñge ham zabān kholeñge
ahl-e-haft-kishvar ko aaj tak kī mohlat hai
kal zamīn ulTegī taḳht-o-tāj Doleñge
zulm-o-jaur ko kab tak maslahat mein tolenge
is sadi ke danish-war kab zaban kholenge
ras aa gai jin ko bhik aab-o-dane ki
wo tuyur ab hargiz baal-o-par na kholenge
be-hisi ke jazbon ko KHun ki zarurat hai
kab zamir jagenge kab awam bolenge
ahl-e-kibr-o-naKHwat ki apni aastinon mein
wo jo sanp palte hain aur zahr gholenge
chup rahe to zalim ko fursat-e-sitam hogi
hum qalam uThaenge hum zaban kholenge
ahl-e-haft-kishwar ko aaj tak ki mohlat hai
kal zamin ulTegi taKHt-o-taj Dolenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.