zulm-o-sitam se mujhko wafa ki talash hai
zulm-o-sitam se mujhko wafa ki talash hai
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
zulm-o-sitam se mujh ko vafā kī talāsh hai
ḳhanjar ke dam se āb-e-baqā kī talāsh hai
ai mai-kasho ho tum ko mubārak ye mai-kashī
mujh ko to jām-e-hosh-rubā kī talāsh hai
hai sakinān-e-dasht kī sūkhī huī zabāñ
kāñToñ ko ek ābla-pā kī talāsh hai
kuchh ho sakā na us ko davāoñ se fā.eda
bīmār-e-ġham ko ab to qazā kī talāsh hai
gum-karda-rāh huuñ nahīñ mā'lūm kuchh mujhe
bhaTke hue ko bāñg-e-darā kī talāsh hai
merī ḳhatā na dekh tū apne karam ko dekh
tere karam ko ahl-e-ḳhatā kī talāsh hai
vaqt-e-aḳhīr ashk-e-nadāmat nikal paḌe
marte hue 'zakī' ko ḳhudā kī talāsh hai
zulm-o-sitam se mujh ko wafa ki talash hai
KHanjar ke dam se aab-e-baqa ki talash hai
ai mai-kasho ho tum ko mubarak ye mai-kashi
mujh ko to jam-e-hosh-ruba ki talash hai
hai sakinan-e-dasht ki sukhi hui zaban
kanTon ko ek aabla-pa ki talash hai
kuchh ho saka na us ko dawaon se faeda
bimar-e-gham ko ab to qaza ki talash hai
gum-karda-rah hun nahin ma'lum kuchh mujhe
bhaTke hue ko bang-e-dara ki talash hai
meri KHata na dekh tu apne karam ko dekh
tere karam ko ahl-e-KHata ki talash hai
waqt-e-aKHir ashk-e-nadamat nikal paDe
marte hue 'zaki' ko KHuda ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.