zulm sah kar unhen hasrat se taka karte hain
zulm sah kar unheñ hasrat se takā karte haiñ
ham nigāhoñ se bhī fariyād kiyā karte haiñ
mujh se ye kah ke vo tāvīl-e-jafā karte haiñ
ham tujhe ḳhūgar-e-taslīm-o-razā karte haiñ
ġham meñ ham aish ko yuuñ jalva-numā karte haiñ
dard ko dard kī lazzat meñ fanā karte haiñ
ye bhī mumkin hai ki ġham se ho ḳhushī kī takmīl
ashk bhī josh-e-masarrat meñ bahā karte haiñ
jis se mālūm ye hotā hai ki nazdīk hai tū
ham bhī vo duur kī āvāz sunā karte haiñ
be-ḳhabar apne farā.ez se na ġham hai na junūñ
ham hañsā karte haiñ aur ashk bahā karte haiñ
jaan dete the kabhī ziist pe ham ai 'shādāñ'
ab to marne kī tamannā meñ jiyā karte haiñ
zulm sah kar unhen hasrat se taka karte hain
hum nigahon se bhi fariyaad kiya karte hain
mujh se ye kah ke wo tawil-e-jafa karte hain
hum tujhe KHugar-e-taslim-o-raza karte hain
gham mein hum aish ko yun jalwa-numa karte hain
dard ko dard ki lazzat mein fana karte hain
ye bhi mumkin hai ki gham se ho KHushi ki takmil
ashk bhi josh-e-masarrat mein baha karte hain
jis se malum ye hota hai ki nazdik hai tu
hum bhi wo dur ki aawaz suna karte hain
be-KHabar apne faraez se na gham hai na junun
hum hansa karte hain aur ashk baha karte hain
jaan dete the kabhi zist pe hum ai 'shadan'
ab to marne ki tamanna mein jiya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.