zulmat-e-gham se na shab ki tirgi se KHauf kha
zulmat-e-ġham se na shab kī tīrgī se ḳhauf khā
dost ban kar jo Dase us raushnī se ḳhauf khā
hurmat-e-aslāf hai is band muTThī kī asaas
apnī rusvā.ī se Dar dast-e-tahī se ḳhauf khā
āj-kal do dhaar kī talvār haiñ alfāz bhī
jāduī lahje kī hamla-āvarī se ḳhauf khā
sāzishoñ ne ruḳh pe Daale haiñ bahut dilkash naqāb
vaqt kī mā'sūm sūrat sādgī se ḳhauf khā
tū mirī barbādiyoñ par kis liye hai mutma.in
mushta'il kab ho mirī dīvāngī se ḳhauf khā
buġhz-fitrat aañkh meñ terā khaTaktā hai vujūd
maslahat-āmez kīna-parvarī se ḳhauf khā
tujh ko terī gumrahī duniyā se ojhal kar na de
bikhrī bikhrī ab to apnī be-hisī se ḳhauf khā
tere lahje meñ simaT aa.ī hai kaḌvāhaT bahut
zahr jo ban jaa.e aisī shā'irī se ḳhauf khā
tang-dil koī agar fayyāz ho jaa.e to Dar
ai 'zafar' kam-zarf kī dariyā-dilī se ḳhauf khā
zulmat-e-gham se na shab ki tirgi se KHauf kha
dost ban kar jo Dase us raushni se KHauf kha
hurmat-e-aslaf hai is band muTThi ki asas
apni ruswai se Dar dast-e-tahi se KHauf kha
aaj-kal do dhaar ki talwar hain alfaz bhi
jadui lahje ki hamla-awari se KHauf kha
sazishon ne ruKH pe Dale hain bahut dilkash naqab
waqt ki ma'sum surat sadgi se KHauf kha
tu meri barbaadiyon par kis liye hai mutmain
mushta'il kab ho meri diwangi se KHauf kha
bughz-fitrat aankh mein tera khaTakta hai wujud
maslahat-amez kina-parwari se KHauf kha
tujh ko teri gumrahi duniya se ojhal kar na de
bikhri bikhri ab to apni be-hisi se KHauf kha
tere lahje mein simaT aai hai kaDwahaT bahut
zahr jo ban jae aisi sha'iri se KHauf kha
tang-dil koi agar fayyaz ho jae to Dar
ai 'zafar' kam-zarf ki dariya-dili se KHauf kha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.