zulmat-kushi ka qasd kiya aur chal paDe
zulmat-kushi ka qasd kiya aur chal paDe
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
zulmat-kushī kā qasd kiyā aur chal paḌe
muTThī meñ jugnuoñ ko liyā aur chal paḌe
aatī rahegī maut ko aanā jahāñ pe hai
ham ne to apnā zahr piyā aur chal paḌe
sahrā se shahr aane meñ aur ehtimām kyā
dāman kā apne chaak siyā aur chal paḌe
ham se badan-badoshoñ kā raḳht-e-safar kahāñ
bas apnā ḳhāk-dān liyā aur chal paḌe
ujlat thī ham ko chāñd kā kyā karte intizār
āñkhoñ ko shab charāġh kiyā aur chal paḌe
zulmat-kushi ka qasd kiya aur chal paDe
muTThi mein jugnuon ko liya aur chal paDe
aati rahegi maut ko aana jahan pe hai
hum ne to apna zahr piya aur chal paDe
sahra se shahr aane mein aur ehtimam kya
daman ka apne chaak siya aur chal paDe
hum se badan-badoshon ka raKHt-e-safar kahan
bas apna KHak-dan liya aur chal paDe
ujlat thi hum ko chand ka kya karte intizar
aankhon ko shab charagh kiya aur chal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.