zulmaten chhaTne ko aaghaz-e-sahar kafi hai
zulmateñ chhaTne ko āġhāz-e-sahar kaafī hai
sar jhukāne ke liye ek hī dar kaafī hai
koī talvār uThāo na hī neza pakḌo
qatl karne ko sanam tīr-e-nazar kaafī hai
mere roke na rukegā to bhalā kyuuñ rokūñ
ab bichhaḌne ko tirā azm-e-safar kaafī hai
huuñ mubārak ye mahallāt ye daulat tujh ko
yaar ham ḳhāna-ba-doshoñ ko safar kaafī hai
jis kī chhāñv meñ falak-zād bhī aa kar baiTheñ
mere gaañv ko vahī ek shajar kaafī hai
ghar se niklūñ to sadā sāya-fagan rahtī haiñ
maañ mujhe terī duāoñ kā asar kaafī hai
jaisī karnī hai yahāñ vaisī vahāñ bharnī hai
ḳhair ko ḳhair bahut shar ko sharar kaafī hai
zulmaten chhaTne ko aaghaz-e-sahar kafi hai
sar jhukane ke liye ek hi dar kafi hai
koi talwar uThao na hi neza pakDo
qatl karne ko sanam tir-e-nazar kafi hai
mere roke na rukega to bhala kyun rokun
ab bichhaDne ko tera azm-e-safar kafi hai
hun mubarak ye mahallat ye daulat tujh ko
yar hum KHana-ba-doshon ko safar kafi hai
jis ki chhanw mein falak-zad bhi aa kar baiThen
mere ganw ko wahi ek shajar kafi hai
ghar se niklun to sada saya-fagan rahti hain
man mujhe teri duaon ka asar kafi hai
jaisi karni hai yahan waisi wahan bharni hai
KHair ko KHair bahut shar ko sharar kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.