zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log
zulmatoñ meñ go Thaharne ko Thahar jaate haiñ log
ahl-e-manzil kī nigāhoñ se utar jaate haiñ log
kal talak to husn kī ma.asūmiyat mashkūk thī
ab ḳhulūs-e-ishq par bhī choT kar jaate haiñ log
raah meñ ab vo dar-e-jānāñ ho yā dair-o-haram
sar uThā.e be-niyāzāna guzar jaate haiñ log
zindagī kī be-sabātī kā koī ronā nahīñ
haa.e vo hālāt jab be-maut mar jaate haiñ log
shaiḳh-sāhib ham siyah-baḳhtoñ kā pīchhā chhoḌiye
shaam hotī hai to apne apne ghar jaate haiñ log
zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log
ahl-e-manzil ki nigahon se utar jate hain log
kal talak to husn ki masumiyat mashkuk thi
ab KHulus-e-ishq par bhi choT kar jate hain log
rah mein ab wo dar-e-jaanan ho ya dair-o-haram
sar uThae be-niyazana guzar jate hain log
zindagi ki be-sabaati ka koi rona nahin
hae wo haalat jab be-maut mar jate hain log
shaiKH-sahib hum siyah-baKHton ka pichha chhoDiye
sham hoti hai to apne apne ghar jate hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.