zulmaton mein jite hain, raushni ke mare hain
zulmatoñ meñ jiite haiñ, raushnī ke maare haiñ
ek hī qabīle ke chāñd aur sitāre haiñ
ratjagoñ ke sāthī haiñ, ashk, āhaTeñ, ḳhushbū
bas yahīñ kahīñ tū hai yā bharam hamāre haiñ
aaj tak to rasman bhī tū ne ye nahīñ pūchhā
ham ne terī furqat meñ kaise din guzāre haiñ
us ne mere pahlū meñ jhāñk kar nahīñ dekhā
choT kitnī gahrī hai zaḳhm kitne saare haiñ
Tahniyoñ kī zīnat the sūliyoñ pe laTke haiñ
ḳhushk zard patte jo mausamoñ ke maare haiñ
ham ne apne purkhoñ ke ehtirām kī ḳhātir
farz bhī nibhāyā hai, qarz bhī utāre haiñ
maiñ to ik musāfir huuñ merā kaam hai chalnā
manzileñ tumhārī haiñ rāste tumhāre haiñ
dil se tai to ho jaa.e saath kis ke jaanā hai
rāste nikalne ko yuuñ to Dher saare haiñ
ham ne kal zamāne ko raushnī dikhā.ī hai
aaj ham zamāne kī raushnī ke maare haiñ
zulmaton mein jite hain, raushni ke mare hain
ek hi qabile ke chand aur sitare hain
ratjagon ke sathi hain, ashk, aahaTen, KHushbu
bas yahin kahin tu hai ya bharam hamare hain
aaj tak to rasman bhi tu ne ye nahin puchha
hum ne teri furqat mein kaise din guzare hain
us ne mere pahlu mein jhank kar nahin dekha
choT kitni gahri hai zaKHm kitne sare hain
Tahniyon ki zinat the suliyon pe laTke hain
KHushk zard patte jo mausamon ke mare hain
hum ne apne purkhon ke ehtiram ki KHatir
farz bhi nibhaya hai, qarz bhi utare hain
main to ek musafir hun mera kaam hai chalna
manzilen tumhaari hain raste tumhaare hain
dil se tai to ho jae sath kis ke jaana hai
raste nikalne ko yun to Dher sare hain
hum ne kal zamane ko raushni dikhai hai
aaj hum zamane ki raushni ke mare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.