zulmaton se jang apna kaam ban kar rah gai
zulmatoñ se jañg apnā kaam ban kar rah ga.ī
ye ibādat shaġhl-e-sub.h-o-shām ban kar rah ga.ī
qāfile aate rahe parcham uThā.e dard ke
dil kī vaadī shāhrāh-e-ām ban kar rah ga.ī
un se milne kī tamannā aur bichhaḌne kā malāl
dhuup chhāñv zindagī kā daam ban kar rah ga.ī
ishq ke ādāb pās-e-bazm aur dil kī pukār
hosh-mandī bandishoñ kā naam ban kar rah ga.ī
mausam-e-gul thā javāñ jab bulbuleñ thiiñ naġhma-ḳhvāñ
fasl-e-gul ab to ḳhayāl-e-ḳhām ban kar rah ga.ī
sat.h par ubhre to the ik pal ko rañgīñ bulbule
zindagī phir talḳhiyoñ kā jaam ban kar rah ga.ī
zulmaton se jang apna kaam ban kar rah gai
ye ibaadat shaghl-e-subh-o-sham ban kar rah gai
qafile aate rahe parcham uThae dard ke
dil ki wadi shahrah-e-am ban kar rah gai
un se milne ki tamanna aur bichhaDne ka malal
dhup chhanw zindagi ka dam ban kar rah gai
ishq ke aadab pas-e-bazm aur dil ki pukar
hosh-mandi bandishon ka nam ban kar rah gai
mausam-e-gul tha jawan jab bulbulen thin naghma-KHwan
fasl-e-gul ab to KHayal-e-KHam ban kar rah gai
sath par ubhre to the ek pal ko rangin bulbule
zindagi phir talKHiyon ka jam ban kar rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.