aaine ko samne kya kar liya
aa.ine ko sāmne kyā kar liyā
ek dushman aur paidā kar liyā
jab bhañvar meñ aa ga.ī kashtī mirī
nāḳhudā ne bhī kinārā kar liyā
zaḳhm dīvāne kā jab bharne lagā
aur gahrā aur gahrā kar liyā
zindagī bhar nam rahīñ āñkheñ to kyā
le tire bin bhī guzārā kar liyā
bas zarā sā ruḳh badal kar soch kā
ham ne apne dil ko dariyā kar liyā
aaine ko samne kya kar liya
ek dushman aur paida kar liya
jab bhanwar mein aa gai kashti meri
naKHuda ne bhi kinara kar liya
zaKHm diwane ka jab bharne laga
aur gahra aur gahra kar liya
zindagi bhar nam rahin aankhen to kya
le tere bin bhi guzara kar liya
bas zara sa ruKH badal kar soch ka
hum ne apne dil ko dariya kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.