aansuon mein bhiga hai har libas naslon ka
āñ.suoñ meñ bhīgā hai har libās nasloñ kā
koī to samajh paatā ġham udaas nasloñ kā
kaun ghaaT utreñge ye to raam hī jāneñ
duur tak nahīñ koī ġham-shanās nasloñ kā
apne dukh se chhoTe haiñ dukh tamām duniyā ke
muḳhtasar na thā itnā canvās nasloñ kā
zindagī nahīñ jaise bhuut koī dekhā hai
haal kyā sunā.eñ ham bad-havās nasloñ kā
dard chandrmukhiyoñ ke gesuoñ se lambā hai
ḳhud-kushī muqaddar hai devdās-nasloñ kā
har qadam pe hote haiñ qatl jis ilāqe meñ
ab vahī ilāqa hai sab se ḳhaas nasloñ kā
bam missileñ dahshat naqlī sarhadeñ vahshat
ab ilaaj hai sāhib kis ke paas nasloñ kā
gaay bail charte haiñ rauñd kar nikalte haiñ
ye sadī ilāqa hai ghaas ghaas nasloñ kā
jhāñkne kueñ meñ bhī aaj kal nahīñ aatā
bevafā kanhaiyyā hai sūrdās nasloñ kā
aansuon mein bhiga hai har libas naslon ka
koi to samajh pata gham udas naslon ka
kaun ghaT utrenge ye to ram hi jaanen
dur tak nahin koi gham-shanas naslon ka
apne dukh se chhoTe hain dukh tamam duniya ke
muKHtasar na tha itna canwas naslon ka
zindagi nahin jaise bhut koi dekha hai
haal kya sunaen hum bad-hawas naslon ka
dard chandrmukhiyon ke gesuon se lamba hai
KHud-kushi muqaddar hai dewdas-naslon ka
har qadam pe hote hain qatl jis ilaqe mein
ab wahi ilaqa hai sab se KHas naslon ka
bam missilen dahshat naqli sarhaden wahshat
ab ilaj hai sahib kis ke pas naslon ka
gay bail charte hain raund kar nikalte hain
ye sadi ilaqa hai ghas ghas naslon ka
jhankne kuen mein bhi aaj kal nahin aata
bewafa kanhaiyya hai surdas naslon ka
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.