aisa shaKHs kahan milta hai apna bhi begana bhi
aisa shaKHs kahan milta hai apna bhi begana bhi
Harjeet Singh Fani
MORE BYHarjeet Singh Fani
aisā shaḳhs kahāñ miltā hai apnā bhī begāna bhī
ek jagah jaise mil jaa.e duniyā bhī vīrāna bhī
mere andar sab rahte haiñ raste manzil aur paḌāv
maiñ ne to ḳhud hī sīkhā hai chalnā bhī ruk jaanā bhī
muḌ jaatī haiñ rāheñ aksar an-chāhe sannāToñ tak
mushkil ho jaatā hai tab kuchh kahnā bhī sun paanā bhī
jaise jaise vo miltā hai jaise gum ho jaatā hai
khonā bhī us ko vaise hī paanā bhī apnānā bhī
juḌtā bhī rahtā hai mujh se ghaTtā bhī rahtā hai kuchh
har lamha hotā rahtā hai jiinā bhī mar jaanā bhī
kal tak saaya thā jo merā mujh se bichhḌā dhuup banā
dhuup banā to siikh gayā vo ugnā bhī Dhal jaanā bhī
chhoḌ gayā vo kuchh āvāzeñ maiñ ne jin ko bāñdh liyā
bāñdh liyā us ke hoñToñ kā khilnā bhī murjhānā bhī
aisa shaKHs kahan milta hai apna bhi begana bhi
ek jagah jaise mil jae duniya bhi virana bhi
mere andar sab rahte hain raste manzil aur paDaw
main ne to KHud hi sikha hai chalna bhi ruk jaana bhi
muD jati hain rahen aksar an-chahe sannaTon tak
mushkil ho jata hai tab kuchh kahna bhi sun pana bhi
jaise jaise wo milta hai jaise gum ho jata hai
khona bhi us ko waise hi pana bhi apnana bhi
juDta bhi rahta hai mujh se ghaTta bhi rahta hai kuchh
har lamha hota rahta hai jina bhi mar jaana bhi
kal tak saya tha jo mera mujh se bichhDa dhup bana
dhup bana to sikh gaya wo ugna bhi Dhal jaana bhi
chhoD gaya wo kuchh aawazen main ne jin ko bandh liya
bandh liya us ke honTon ka khilna bhi murjhana bhi
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.