ajab dahshat mein hai Duba hua manzar jahan main hun
ajab dahshat mein hai Duba hua manzar jahan main hun
Budhisena Sharma
MORE BYBudhisena Sharma
ajab dahshat meñ hai Duubā huā manzar jahāñ maiñ huuñ
dhamāke gūñjne lagte haiñ rah rah kar jahāñ maiñ huuñ
koī chīḳhe to jaise aur baḌh jaatā hai sannāTā
sabhī ke kaan haiñ ḳhud apnī aahaT par jahāñ maiñ huuñ
khulī haiñ khiḌkiyāñ phir bhī ghuTan mahsūs hotī hai
guzartī hai makānoñ se havā bach kar jahāñ maiñ huuñ
siyāsat jab kabhī añgḌā.iyāñ letī hai sansad meñ
qayāmat nānchne lagtī hai saḌkoñ par jahāñ maiñ huuñ
samūcha shahr merā zalzaloñ kī zad pe rakkhā hai
jagah se haT chuke haiñ niiv ke patthar jahāñ maiñ huuñ
kabhī marghaT kī ḳhāmoshī kabhī mahshar kā hangāma
badal detā hai mausam nit nayā tevar jahāñ maiñ huuñ
ghulegī par harārat barf meñ paidā nahīñ hogī
vahāñ har aadmī hai barf se bad-tar jahāñ maiñ huuñ
parā.e dard se nisbat kisī ko bhī nahīñ lekin
jise dekho vahī bantā hai paiġhambar jahāñ maiñ huuñ
sadan meñ is taraf haiñ log gūñge us taraf bahre
nahīñ miltā kisī bhī prashn kā uttar jahāñ maiñ huuñ
mazā lete haiñ sab ek dūsre ke zaḳhm gin gin kar
magar har shaḳhs hai apne lahū meñ tar jahāñ maiñ huuñ
use girnā hai to yak-bārgī gir kyuuñ nahīñ jaatī
laTaktī hai sadā talvār kyuuñ sar par jahāñ maiñ huuñ
ajab dahshat mein hai Duba hua manzar jahan main hun
dhamake gunjne lagte hain rah rah kar jahan main hun
koi chiKHe to jaise aur baDh jata hai sannaTa
sabhi ke kan hain KHud apni aahaT par jahan main hun
khuli hain khiDkiyan phir bhi ghuTan mahsus hoti hai
guzarti hai makanon se hawa bach kar jahan main hun
siyasat jab kabhi angDaiyan leti hai sansad mein
qayamat nanchne lagti hai saDkon par jahan main hun
samucha shahr mera zalzalon ki zad pe rakkha hai
jagah se haT chuke hain niw ke patthar jahan main hun
kabhi marghaT ki KHamoshi kabhi mahshar ka hangama
badal deta hai mausam nit naya tewar jahan main hun
ghulegi par hararat barf mein paida nahin hogi
wahan har aadmi hai barf se bad-tar jahan main hun
parae dard se nisbat kisi ko bhi nahin lekin
jise dekho wahi banta hai paighambar jahan main hun
sadan mein is taraf hain log gunge us taraf bahre
nahin milta kisi bhi prashn ka uttar jahan main hun
maza lete hain sab ek dusre ke zaKHm gin gin kar
magar har shaKHs hai apne lahu mein tar jahan main hun
use girna hai to yak-bargi gir kyun nahin jati
laTakti hai sada talwar kyun sar par jahan main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.