andhere mein hum aap hain raushni mein
andhere mein hum aap hain raushni mein
Satish Balram Agnihotri
MORE BYSatish Balram Agnihotri
añdhere meñ ham aap haiñ raushnī meñ
baḌā farq hai zindagī zindagī meñ
sadāqat agar aib hai aadmī meñ
to haqdār kyā kuchh na socheñge jī meñ
vo uthlī siyāsat kā dam bhar rahe haiñ
jinheñ Duub marnā thā gahrī nadī meñ
nasheman huā nazr-e-barq-e-bahārāñ
magar gulsitāñ aa gayā raushnī meñ
ġharīboñ ke dil kī to maiñ jāntā huuñ
pake jaise laavā javālā-mukhī meñ
kahīñ rah na jaa.e mashīnoñ kī duniyā
kahīñ aadmī aa na jaa.e kamī meñ
jo tum ne paḌhā hai vo ham ne ginā hai
baḌī chiiz hai tajraba āgāhī meñ
vo rangīñ-navā.ī ye sho.ala-bayānī
ka.ī moḌ aa.e mirī shā.erī meñ
haqīqat ye hai 'shād' kī har ġhazal se
izāfa huā aap kī āgāhī meñ
andhere mein hum aap hain raushni mein
baDa farq hai zindagi zindagi mein
sadaqat agar aib hai aadmi mein
to haqdar kya kuchh na sochenge ji mein
wo uthli siyasat ka dam bhar rahe hain
jinhen Dub marna tha gahri nadi mein
nasheman hua nazr-e-barq-e-bahaaran
magar gulsitan aa gaya raushni mein
gharibon ke dil ki to main jaanta hun
pake jaise lawa jawala-mukhi mein
kahin rah na jae mashinon ki duniya
kahin aadmi aa na jae kami mein
jo tum ne paDha hai wo hum ne gina hai
baDi chiz hai tajraba aagahi mein
wo rangin-nawai ye shoala-bayani
kai moD aae meri shaeri mein
haqiqat ye hai 'shad' ki har ghazal se
izafa hua aap ki aagahi mein
- Book : Lafz Magazine-01 Feb-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.