andheri raat hai main hun akela dip jalta hai
añdherī raat hai maiñ huuñ akelā diip jaltā hai
havā jag jag ke sotī hai pathik ab kaun chaltā hai
dharā kā kaun ākarshan tamar meñ khīñch laayā hai
kshitij se vyaam meñ koī taral taarā nikaltā hai
tumhārī baat socho aur apnī baat bhī socho
inhīñ do binduoñ ke biich jīvan kī vikaltā hai
na kuchh bhī dhuul dhakkaḌ ho to path kaise chalā jaa.e
kahā hai chikne patthar par qadam jā kar phisaltā hai
kahūñ kyā baat āñkhoñ kī inheñ pardā nahīñ aatā
kahīñ kuchh vednā dekhī ki aañsū bah nikaltā hai
‘trilochan’ bhaav aate haiñ to phir roke nahīñ rukte
kabhī jharne ko dekhā hai jo apnī Dhaal Dhalte haiñ
andheri raat hai main hun akela dip jalta hai
hawa jag jag ke soti hai pathik ab kaun chalta hai
dhara ka kaun aakarshan tamar mein khinch laya hai
kshitij se wyam mein koi taral tara nikalta hai
tumhaari baat socho aur apni baat bhi socho
inhin do binduon ke bich jiwan ki wikalta hai
na kuchh bhi dhul dhakkaD ho to path kaise chala jae
kaha hai chikne patthar par qadam ja kar phisalta hai
kahun kya baat aankhon ki inhen parda nahin aata
kahin kuchh wedna dekhi ki aansu bah nikalta hai
‘trilochan’ bhaw aate hain to phir roke nahin rukte
kabhi jharne ko dekha hai jo apni Dhaal Dhalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.