apne dil ka haal yaro hum kisi se kya kahen
apne dil ka haal yaro hum kisi se kya kahen
Shamsher Bahadur Singh
MORE BYShamsher Bahadur Singh
apne dil kā haal yaaro ham kisī se kyā kaheñ
koī bhī aisā nahīñ miltā jise apnā kaheñ
ho chukī jab ḳhatm apnī zindagī kī dāstāñ
un kī farmā.ish huī hai is ko dobāra kaheñ
aaj ik ḳhāmosh mātam sā hamāre dil meñ hai
ḳhvāb ke se din haiñ varna ham ise jiinā kaheñ
yaas dil ko bāñdh sar par jald saaya kar junūñ
dam nahīñ itnā jo tum se saañs kā dhokā kaheñ
dekh kar ke āḳhir-e-vaqt un kī mohabbat kī nazar
ham ko yaad aayā vo kuchh kahnā jise shikva kaheñ
us kī pur-hasrat nigāheñ dekh kar rahm aa gayā
varna jī meñ thā ki ham bhī hañs ke dīvāna kaheñ
qāfile vaalo kahāñ jaate ho sahrā kī taraf
aao baiTho tum se ham majnūñ kā afsāna kaheñ
mushk-bū-e-zulf us kī gher le jis jā hameñ
dil ye kahtā hai usī ko apnā kāshnā kaheñ
apne dil ka haal yaro hum kisi se kya kahen
koi bhi aisa nahin milta jise apna kahen
ho chuki jab KHatm apni zindagi ki dastan
un ki farmaish hui hai is ko dobara kahen
aaj ek KHamosh matam sa hamare dil mein hai
KHwab ke se din hain warna hum ise jina kahen
yas dil ko bandh sar par jald saya kar junun
dam nahin itna jo tum se sans ka dhoka kahen
dekh kar ke aaKHir-e-waqt un ki mohabbat ki nazar
hum ko yaad aaya wo kuchh kahna jise shikwa kahen
us ki pur-hasrat nigahen dekh kar rahm aa gaya
warna ji mein tha ki hum bhi hans ke diwana kahen
qafile walo kahan jate ho sahra ki taraf
aao baiTho tum se hum majnun ka afsana kahen
mushk-bu-e-zulf us ki gher le jis ja hamein
dil ye kahta hai usi ko apna kashna kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.