apne ghar mein hi ajnabi ki tarah
apne ghar meñ hī ajnabī kī tarah
maiñ surāhī meñ ik nadī kī tarah
kis se haarā maiñ ye mire andar
kaun rahtā hai bruce-lē kī tarah
us kī socho meñ maiñ utartā huuñ
chāñd par pahle aadmī kī tarah
apnī tanhā.iyoñ meñ rakhtā hai
mujh ko ik shaḳhs Diary kī tarah
maiñ ne us ko chhupā ke rakkhā hai
black out meñ raushnī kī tarah
TuuTe but raat bhar jagāte haiñ
sukh pareshāñ hai ġhaznavī kī tarah
barf girtī hai mere chehre par
us kī yādeñ haiñ january kī tarah
vaqt sā hai anant ik chehrā
aur maiñ ret kī ghaḌī kī tarah
apne ghar mein hi ajnabi ki tarah
main surahi mein ek nadi ki tarah
kis se haara main ye mere andar
kaun rahta hai bruce-lee ki tarah
us ki socho mein main utarta hun
chand par pahle aadmi ki tarah
apni tanhaiyon mein rakhta hai
mujh ko ek shaKHs Diary ki tarah
main ne us ko chhupa ke rakkha hai
black out mein raushni ki tarah
TuTe but raat bhar jagate hain
sukh pareshan hai ghaznawi ki tarah
barf girti hai mere chehre par
us ki yaaden hain january ki tarah
waqt sa hai anant ek chehra
aur main ret ki ghaDi ki tarah
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.