apne haq mein faisla ab kya karen
apne haq meñ faisla ab kyā kareñ
bevafā se ham jafā ab kyā kareñ
bādaloñ ne jab daġhā mujh se kiyā
tīrgī se phir gila ab kyā kareñ
raas jab aane lagī us ko du'ā
doctor se mashvara ab kyā kareñ
bad-numā sā daaġh hai chehra mirā
aa.ina ham dekh kar ab kyā kareñ
pankh jis ke bojh ban kar rah ga.e
aise panchhī ko rihā ab kyā kareñ
zindagī ne har qadam mujh ko Thagā
maut se shikvā gila ab kyā kareñ
jis ke ġham meñ dil mirā labrez hai
us hasīñ ko ham-navā ab kyā kareñ
zaḳhm-e-dil āḳhir harā hai ab talak
haal 'ātish' kā pata ab kyā kareñ
apne haq mein faisla ab kya karen
bewafa se hum jafa ab kya karen
baadalon ne jab dagha mujh se kiya
tirgi se phir gila ab kya karen
ras jab aane lagi us ko du'a
doctor se mashwara ab kya karen
bad-numa sa dagh hai chehra mera
aaina hum dekh kar ab kya karen
pankh jis ke bojh ban kar rah gae
aise panchhi ko riha ab kya karen
zindagi ne har qadam mujh ko Thaga
maut se shikwa gila ab kya karen
jis ke gham mein dil mera labrez hai
us hasin ko ham-nawa ab kya karen
zaKHm-e-dil aaKHir hara hai ab talak
haal 'atish' ka pata ab kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.