apni sachchai ko sabit kar gaya
apnī sachchā.ī ko sābit kar gayā
hoñTh añgāroñ pe rakh kar mar gayā
badliyāñ barsīñ kabhī āñkheñ jharīñ
ab ke sāvan har tarah se tar gayā
is se zyāda aur kyā kartā supūt
ghar kī añgnā.ī ke TukḌe kar gayā
the khilaune aur bhī dūkān meñ
haath bachche kā tamanche par gayā
merī chādar kitnī ochhī hai 'humā'
pair gar Dhāñkūñ to merā sar gayā
apni sachchai ko sabit kar gaya
honTh angaron pe rakh kar mar gaya
badliyan barsin kabhi aankhen jharin
ab ke sawan har tarah se tar gaya
is se zyaada aur kya karta suput
ghar ki angnai ke TukDe kar gaya
the khilaune aur bhi dukan mein
hath bachche ka tamanche par gaya
meri chadar kitni ochhi hai 'huma'
pair gar Dhankun to mera sar gaya
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 59)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.