apni siyah piTh chhupata hai aaina
apnī siyāh piiTh chhupātā hai aa.ina
sab ko hamāre daaġh dikhātā hai aa.ina
us kā na koī diin, na īmān nā dharam
is haath se us haath meñ jaatā hai aa.ina
khaa.ī zarā sī choT to TukḌoñ meñ baT gayā
ham ko bhī apnī shakl meñ laatā hai aa.ina
ham TuuT bhī ga.e to ye bolā na ek baar
jab ḳhud girā to shor machātā hai aa.ina
shikva nahīñ ki kyuuñ ye kahīñ Dagmagā gayā
shikva to ye hai aks hilātā hai aa.ina
har pal nahā rahā hai hamāre hī ḳhuun se
paanī se ab kahāñ ye nahātā hai aa.ina
sajne ke vaqt bhī ye hameñ de gayā kharoñch
bas naam kā hī bhāgya-vidhātā hai aa.ina
apni siyah piTh chhupata hai aaina
sab ko hamare dagh dikhata hai aaina
us ka na koi din, na iman na dharam
is hath se us hath mein jata hai aaina
khai zara si choT to TukDon mein baT gaya
hum ko bhi apni shakl mein lata hai aaina
hum TuT bhi gae to ye bola na ek bar
jab KHud gira to shor machata hai aaina
shikwa nahin ki kyun ye kahin Dagmaga gaya
shikwa to ye hai aks hilata hai aaina
har pal naha raha hai hamare hi KHun se
pani se ab kahan ye nahata hai aaina
sajne ke waqt bhi ye hamein de gaya kharonch
bas nam ka hi bhagya-widhata hai aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.